Friday, 10 March 2017

Depression ko Bagaye

दोस्तों आज की लाइफ बहुत बिजी है और आज हर किसी के  पास टाइम नहीं है  हर व्यक्ति अपने काम मैं बिजी है और इस इस  बिजी लाइफ मैं वह आराम लेना ही भूल गया है इन सभी चीजो से उसकी हेल्थ पर बहुत बुरा प्रभाव पड़ता है व्यक्ति के मानसिक शक्ति कमजोर होने लगती है तनाव की वजह से व्यक्ति अपनी लाइफ मैं दिलचस्प नही रहता
                                  Tanav se hamari body par effect

१.Tanav ke karan vyakti ko bukh nahi lagti hai vyakti hamesha tired rahta hai vyakti ko neend nhi aati hai vyakti kamjori anubhav karta hai aankho ke niche kale nishan pad jate hain sir hamesha bhari mahsoos hota hai kabhi kabhi to adhik tension ke karan sar dard hone lagta hai vyakti ki memory kam hone lagti hai

                                  Tanav ko door karne ke upaye
  1.Tanav ko door ko kam karne ke liye meditation bahut jaroori hai rojana meditation karne se hamara man shant hota hai jisse tension door hoti hai
2. dosto! tension ka ek main reason ye bhi hai ki ham apni saari preshaniyo ko andar hi rakhte hai jisse hamari tension aur jyada badh jati hai iss liye friends apni preshaniyo ko doosro ke sath share kare jo apke kareebi ho
3.jab bhi aap dookhi ho to apni life ki aachi yado ko socho aur apne life main kya kya acheive kiya hai unhe socho aap main ek nayi urja bhar aayegi aur apki tension khatam ho jayegi
4. Jab bhi aapko adhik tension ho to aap ek lambhi saans le aur apne mann main kahe all is well! all is well! isse apme ek confidence ayega aur apki tension khatam ho jayegi
5.Dosto! Rojana yoga karne vale vyakti ko kabhi tanav nhi hota vo vyakti Har ek badi se badi preshani ko bhi chhota karne main kabil hota hai to aap rojan agar 15 minutes bhi yoga karenge to aapki body main tanav nhi aa sakta hain
6 Dosto! Jo vyakti bhagvan se Juda rahta hai vo hamesha Mann se shant rahta hain to hamesha God connectivity banaye rakhe

No comments:

Post a Comment